aslam sonu laxminiya

Showing posts with label love stories in hindi. Show all posts
Showing posts with label love stories in hindi. Show all posts

Saturday, 10 September 2016

प्यार का मतलब | Best Love Story In Hindi

प्यार का मतलब / Best Love Story In Hindi

एक दिन आदमी को उसकी पत्नी ने, जिसके बहोत लम्बे बाल थे उसने उसके लिए एक कंघा खरीदने के लिए कहा ताकि वो अपने बालो की अच्छे से देखभाल कर सके.

उस आदमी ने अपनी बीवी से माफ़ी मांगी और कंघी लेने से मना कर दिया. उसने समझाया की उसके पास अभी उसकी टूटी हुई घडी का पट्टा बिठाने के भी पैसे नहीं है. लेकिन फिर भी उसकी पत्नी जिद पर अडी रही.

गुस्से में वह इंसान काम पर जाने के लिए निकाल गया और जाते-जाते अचानक रास्ते में उसकी नजर एक घडी की दुकान पर पड़ी, उसने सोचा की वह उस दूकान पर अपनी घडी बेच देगा और उसकी पत्नी के लिए कंघा लेकर जायेंगा.
शाम में वो अपने हातो में कंघी लेकर अपने घर आया, पत्नी को कंघी देने ही लगा

लेकिन अचानक अपने पत्नी को देखकर वह आश्चर्यचकित हो गया, क्यूकी उसने अपनी पत्नी को शोर्ट-हेयर (कम बालो) में देख लिया था.

उसने अपने बालो को बेचकर अपने पति की घडी के लिए नया पट्टा ख़रीदा था.

एक दुसरे के प्रति गहरा प्यार देखते हुए अचानक दोनों के आखो से आसू निकलने लगे, ये आसू उनकी ख्वाइश पूरी होने के वजह से नहीं बल्कि उनके एक-दूजे के लिए प्यार को देखकर थे.

सीख :-

प्यार करना मतलब कुछ नहीं है, प्यार करने लायक बनना थोडा बहोत अच्छा है लेकिन प्यार करने और साथ में करने लायक बनना, ये सब कुछ है. प्यार को कभी किसी का दिया हुआ अनुदान समझकर स्वीकार ना करे.

बल्कि जिस से भी हम प्यार करते है, उस से बिना किसी शर्त के, बिना किसी लालच के बिना किसी द्वेषभावना के हमेशा दिल से प्यार करते रहना चाहिये. क्यूकी जब हम किसी को दिल से प्यार करते है तब हम सामने वाले के दिल में हमेशा के लिए बस जाते है. की जब दो लोगो के बिच प्यार होता है तब वह किसी दौलत का भूका नहीं होता, वह भूका होता है तो सिर्फ स्नेहभाव का. जिस से भी हम प्यार करते है उनसे हमेशा हमें प्यार से पेश आना चाहिये. एक दुसरे के लिए समय निकलते रहना चाहिये. तभी हम हमारे रिश्ते को सफलता से आगे बढ़ा पाएंगे.

प्यार से बोला गया आपका एक शब्द दो दिलो के बिच हो रहे बड़े से बड़े मनमुटाव को भी खत्म कर सकता है. प्रेमभाव से रहना कभी-कभी हमारे लिए भी फायदेमंद साबित होता है. क्यू की कई बार जो काम हजारो रुपये नहीं कर पाते वही प्यार से बोले गये हमारे दो शब्द काम आते है.
Note:- अगर आपको Best Love Story In Hindi अच्छी लगे तो जरुर Share कीजिये.
Note:- E-MAIL Subscription करे और पायें Best Love Story In Hindi and more article and moral Values story in Hindi आपके ईमेल पर.
Search Term :- Moral Values Stories, Best Love Story In Hindi, Hindi Stories With Moral Values for kids
my email

=hyperlink"http://aslamsonuasgroup.blogspot.in/","my web")

Happy Ending Love Story in Hindi : Meri aur Madhavi ki kahani

Happy Ending Love Story in Hindi : Meri aur Madhavi ki kahani
Main apne mata pita ki eklauti aulad tha. Shaadi ke kariban 15 saal baad mera janam hua, isliye meri parvarish bahut hi lad-pyar se hui. Waise toh hum middle class ko belong karte they par fir bhi Ghar mein kisi cheez ki kami nahi thi. Mera bachpan bilkul rajsi tha, eklauta hone ke ye fayede hote hi hain aur main toh fir shaadi ke itne saal baad paida hua tha. Kisi bhi cheez mein sochne bhar ki der thi aur woh saamne hoti thi. Kab schooling hui, college hua pata hi nahi chala. Padhne main zahin tha isliye jald hi ek achchi sarkaari naukri bhi mil gayi.
Din ke samay office mein aur shaam ka samay doston mein bitata tha. Dheere-dheere dost kam hone lage kuch ko naukri ke silsile mein doosre shahar jana pada, kuch ki shaadi ho gayi aur woh apni shaadi shuda zindagi mein busy ho gaye. Kuch ko private multinational company main job mil gayi toh woh der raat tak office mein hi busy rahne lage. Ab mera boriyat ka samay shuru ho gaya. Govt job hone ki wajah se shaam hote hi ghar pahunch jata tha. Ab mujhe akelaapan sataane laga.
Waise toh main maa-babuje se bahut pyar karta tha par maa-babuji mein aur mujh mein do generation ka gap tha. Isliye hamaari soch ka milna waise bhi possible nahi tha. Par fir bhi ek baat ka sahara hota tha ki kam se kam ghar par koi toh hai aur main bhi apna baaki ka bacha hua samay unke saath bitaataa tha. Par kismet ko shayad kuch aur hi manzoor tha. Maa-babuji ka ek accident mein swargwas ho gaya aur main akela rah gaya. Unke jaane ke baad mujhe pata chala ki main unse kitna pyar karta tha. Aur fir kabhi-kabhi apne aap ko kosta tha ki maine kyon nahi aur samay unke saath bitaya.
Samay ke iss kutharaghat se main bilkul toot gaya tha . Kuch dino toh rishtedaaron ne saath diya par woh bhi kab tak apna ghar baar chod kar mere saath rahte. Ab mujhe ghar ke kaamo mein bhi badi muskil hone lagi. Chai banana aur ande ubaalne ke allawa mujhe kuch nahi aata tha. Aise samay mein papa ki baat yaad aaya karti thi. Woh kahte they ki beta thoda bahut kitchen ka kaam bhi seekh lo. Jab hum ghar par nahi hote toh hamein kam se kam iss baat ka toh sukun rahega ki tum bhookhe nahi ho. Par tab unki baat ek kaan se suni aur doosre kaan se nikal di. Aaj pachta raha hoon ki kash unki baat maan li hoti.
Halanki meri umar zyada nahi thi, par fir bhi maa kahati thi ki beta bahu le aao. Kab tak main rasoi mein padi rahungi. Tera bhi mann bahal jaayega aur mujhe bhi kitchen se chutti mil jaayegi. Agar maa ki woh baat maan li hoti toh aaj na to akelapan satata aur na hi kitchen ka gam. Khair pados ki aunties ki wajah se khichadi banana seekh liya jiski wajah se mujhe bhuke pate nahi sona padta tha.
Aise main ek din meri postin south India ke ek chote se kasbe Kunnoor mein ho gayi. Meri job transferable hai. Isliye transfer refuse nahi kar sakte. Fir yahan koi tha bhi nahi jiske liye rukta isliye chal pada. Ab zindagi kismet ke hawale kar di jahan lekar chalti hai chal pada. Shuru ke ek hafte toh office ke guest house mein guzara, fir office ke ek colleague ki madad maangi ki kahin kiraaye ke ghar ka bandobast kar de. Chota kasba hone ki karan kiraaye ke makaan ka wahaan chalan nahi tha.
Sabke apne makaan they. Kasba bahut chota tha isliye jobs ke bahut zyada scope nahi they. Isliye outsiders bhi nahi they. Khair kaafi dhundhne par ek makaan mil gaya. Ghar kaafi bada tha mujhe chat par ek bada sa kamra aur ek kitchen de diya gaya. Ghar ki malkin ne mujhe ye makaan badi majboori mein diya tha. Unki maali haalat achchi nahi thi. Unki koi permanent aamdani nahi thi. Pahle toh ghar ka kharch kheti-baadi se chalta tha. Par kuch saal pahle ghar maalik ne bank ka karz wapas na kar paane ki haalat main aatmhatya kar li thi.
Ye south India mein aajkal aam baat hai. Har saal kai kisaan jab bank loan return nahi kar paate toh aatmhatya kar lete hain. Sarkaar bhi aankhe band kar ke baithi hai. Kisaano ki dayniy haalat hai. Par govt. kuch nahi kar rahi. Jis saal number of suicides badh jaate hain, us saal kuch kisaano ka loan maaf ho jata hai. Iske allawa koi sarkari madad nahi. Sthiti ko sudharne ke liye kaagazon par toh bahut kuch hota hai par zamini haqikat kuch aur hi hai.
Khair is ghar ki haalat bhi kuch aisi hi hai. Mrs. Rao apne chaar bachchon ke saath rahti hai. Do ladke aur do ladkiyan. Sabse badi Madhavi jiski umr sirf 20 saal hai, fir 15 saal ka Vanshi, fir 12 saal ki Naglaxmi aur sabse chota 8 saal ka Sri Nivasa. Kheti–baadi aurat ke bas ki baat nahi isliye ye saara kaam unke devar dekhte hain. Aur badle main guzaare layak anaaj de jaate hain. Madhavi pados ke bachchon ko music aur dance seekhati hai. Uske badle jo aamdani hoti hai us se baaki bachchon ki padai hoti hai.
Mrs. Rao ados-pados ke kapde silti hain. Aur khali samay main nariyal ke reshon se rassiyan banati hai. Ye aamdani ghar ke baaki kharchon ke allawa emergency main kaam aati hai. Mere unke ghar mein kiraaye par aane ki wajah se unki mushkilon se bhari zindagi mein kuch aaram aa gaya tha. Waise toh who log bahut achche they, par chah-kar bhi woh meri koi madad nahi kar paate they. Main unki Telugu bhasha nahi jaanta tha aur who meri hindi nahi jaante they. English mein bhi ghar mein sabhi ka haath tang tha. Thodi bahut hindi aur english Madhavi aur Vanshi jaante they, par woh jab available nahi hote they toh mujhe badi muskil hoti thi. Mrs. Rao toh zyada padhi-likhi nahi thi aur baaki dono bachche abhi chote they.
Par dheere-dheere maine telugu seekhna shuru kar diya. Taaki mera kaam chal sake. Ismein bahut zyada kathinai nahi aai. Uss illake main telugu bolne waale logon ki bahutayat thi. Office main bhi mere colleague isi bhasha main baat karte they. So thoda-thoda main bhi seekhne laga tha. Jagah nayi thi isliye main apni aadat ke anusaar chutti hote hi ghar aa jaya karta tha. Shaam ke samay Madhavi bachchon ko classical dance sikhaya karti thi. Main aksar chhat par se usse dance seekhate hue dekha karta tha.
Bachchon ko dekh-dekh kar main bhi thode bahut steps seekh gaya tha. Akele main kabhi kabhi un steps ki practice bhi kiya karta tha. Ek din Madhavi ne mujhe dance karte hue dekh liya. Woh chupchap mujhe dekhti rahi fir achanak mujhe tokte hue boli, “ye step galat hai, isse aise nahi aise karo… Toh chup-chup kar dance seekh rahe ho aur guru shayad main hi hoon. Fir nikalo guru dakshina.” Aur fir hansne lagi. Fir boli, “agar dance achcha lagta hai toh seekhte kyon nahi?” Maine kaha, “sharm aati hai… Khair samay mile toh tum hi seekha dena.”
Ab Madhavi aksar chhat par aane lagi aur kabhi-kabhi mujhe dance bhi sikhaane lagi. Iske badle mein, main use thodi bahut English aur hindi seekha diya karta tha. Issi beech ek din Madhavi ko pata chala ki main hafte ke saaton din khichdi khata hoon. Woh pahle toh dukhi hui fir usne apni maa se baat karke mujhe bhi khana apne saath khane ke liye kaha. Andha kya maange do nain, yahan toh chaar mil rahe they. Maine bhi jhat se haan kar di. Ab main unhi ke saath khana khane laga. Aur kirayedaar se paying guest ban gaya. Main khane ke liye unhe kuch paise alag se dene laga. Kabhi-kabhi rashan aur sabji bhi market se le aata tha.
Ab main ghar walon se kaafi achchi tarah se ghul mil gaya. Ghar ke chote-mote kaamo mein bhi haath batane laga. Khali samay mein bachchon ko padhane laga. Unke ghar mein ek jo mard ki kami thi woh thodi-thodi bharne lagi thi. Main bhi unke ghar ka ek sadasya ban gaya tha. Dheere-dheere samay beetne laga mujhe unke saath kariban chaar saal ho gaye. Vanshi 12th pass kar chuka tha. Uska MBBS mein selection ho gaya tha. Lekin fees ke chalte admission nahi le pa raha tha.
Par mere zidd karne par Mrs. Rao ne Vanshi ko MBBS karne ke liye Bangalore bhej diya. ‘Mere zidd karne par…’, haan in char saalon mein, maine is ghar mein woh jagah bana li thi ki ab main zidd kar sakta tha aur meri zidd maani bhi jaati thi. Darasal main iss pariwar mein kaafi ghul mil gaya tha. Ek baar ki baat hai, Mrs. Rao ki tabiyat kuch kharab ho gayi. Check up karane par pata chala ki unhe dil ki bimaari hai. Baat tab bigad gayi jab unhe pata chala ki unke devar ne unki saari zameen dhoke se hadap li hai.
Ye jameen hi unke bure waqt ka sahara thi. Isse bechkar hi woh apni betiyon ki shaadi karna chahti thi. Devar ke iss dokhe ko woh bardasht nahi kar paai aur unhe heart attack aa gaya. Unhe hospital mein bharti karwaya gaya. Doctor ne by-pass ki salah di. Kariban 2.5 se 3 lakhs ka kharcha tha. Saara parivar toot gaya. Bachche saare din bhar rote rahte they. Woh apne pita ko kho chuke they ab apni maa ko nahi khona chahte they. Par woh asahaay they. Madhavi apne chacha ke paas gayi gidgidaai par unhone koi madad nahi ki. Unke iss dukh ko mujhse zyada kaun samajh sakta tha. Main apne parivaar ko kho chuka tha.
Maine bagair kisi ko bataaye hospital mein saare paise jama kara diye. Mrs. Rao ka operation theek thaak ho gaya. Doctor ne unhe precautions lene ke liye kaha aur fir kuch dino ke baad unhe discharge kar diya. Mrs. Rao ke bahut poochne par Doctor ne unhe bata diya ki paise maine diye hain. Us din shaam ko Mrs. Rao ne mujhe bulakar poocha ki maine paise kyon diye. Mera unse kya rishta hai. Aur woh mera itna bada karz kaise chukayengi. Maine unhe bataya ki main apna parivaar kho chuka hun, aur ek anaath ki zindagi jee raha hoon.
“Itni badi duniya main baigair kisi apne ke jeena kitna mushkil hota hai, main achchi tarah jaanta hoon. Bhagwaan ne mujhe doosra pariwar diya hai aur aap ko khokar main iss doosre parivaar ko bhi nahi khona chahta.” Itna kahte hi mere aansu nikal aaye. Mujhe dekh kar ghar ke sab log rone lage. Mrs. Rao ne mujhe gale laga liya aur boli aaj se mere chaar nahi paanch bachche hain. Tabse main us ghar ka ek sadasya ban gaya. Aur mujhe bhi zidd karne ka adhikaar mil gaya.
Iske baad ek din woh bhi aaya jisne mujhe pareshaan kar diya. Madhavi 24 saal ki ho gayi thi. Ek din uske liye ek rishta aaya. Ladka bank mein kaam karta tha. Mrs. Rao ne mujhe bulaya aur bataya ki Madhavi ke liye rishta aaya hai. Ladka bank mein kaam karta hai aur hamaari jaat ka hai. Khaate peete ghar ka hai aur bagair dahej ke Madhavi se shaadi karna chahta hai. Bhala is se achcha rishta hamen kahan milega. Woh saamne se khud chalkar ye rishta maangne aaye hain. Agar yahan Madhavi ki shaadi ho jaati hain toh Madhavi ke bhag khul jaayenge.
“Aur fir mujh vidhwa ki liye is se badkar kya baat ho sakti hai ki woh log bagair kisi dahej ke meri beti se shaadi karne ke liye tayyar hain. Bolo beta tumhaari kya salaah hai. Agar tumhe thik lagta hai toh tum Madhavi se baat karo.” Mere muh se ek bhi shabd nahi nikla. Main chupchap unki baat suntaa raha. Aur ant mein “jaisa aap chahe…” kahkar chala aaya.
Madhavi ki shaadi ke baat sunkar mujhe pata nahi khushi nahi ho rahi thi. Ek ajeeb si bechaini hone lagi mera dam ghutne laga, aise lag raha tha jaise saans nahi liya ja raha hai. Main daudkar chhat par chala gaya taaki khuli hawa mein saans le sakun, par kuch fayda nahi hua. Kuch der mein Madhavi bhi chhat par aa gayi aur boli maa kah rahi thi ki tumhe mujhse kuch baat karni hai. Darasal Madhavi ne maa ki saari baaten sun li thi. Lekin fir bhi woh mujh se kuch sunana chahti thi.
Maine bagair uski taraf dekhe use jhidak diya. “Abhi mujhe kuch nahi kahna, mujhe pareshan mat karo.” Madhavi chali gayi aur main apne aap ko tatolta raha ki mujhe kyon Madhavi ke rishte se khushi nahi ho rahi. Agle din Madhavi ne mujhse kaha ki maa kah rahi thi ki mere liye ek rishta aaya hai. Mujhe kya karna chahiye? Maine kaha ki ab tum koi bachchi nahi ho badi ho chuki ho ye tumhaari zindagi hai, iska faisla tumhe lena hai, isliye iss faisle ko tum khud lo. Madhavi boli, “ye toh theek hai par ye itna bada faisla hai ki dar lag raha hai, main galat decision bhi toh le sakti hoon. Isliye tumhaari rai lena chahti hoon.”
Maine kaha, “Mrs. Rao ek heart patient hain, tumhe unki khushi ka khayal rakhna chahiye.”
Madhavi boli, “kya tum iss rishte se khush ho?”
Main gusse se bola, “ab meri khushi ki baat kahan se aa gayi.”
“Lekin main jaanana chahti hoon.”
“Haan mujhe khushi hogi, bahut khushi hogi.”
Main gusse se bahar chala gaya. Madhavi bhi rote-rote apne kamre mein chali gayi.
Mrs. Rao ne rishte ke liye haan kar di. Sagai ka din pakka ho gaya. Pahle navraatri ko mangni aur dashmi ko shaadi. Ghar main shaadi ki tayyariyan hone lagi. Ghar mein rang rogan, kapdo ki shopping aur gahno ki khariddaari hone lagi. Halaanki ladke waalon ne dahej ke liye mana kiya tha, par fir bhi ek maa apni beti ki shaadi ki tyari uske janam se hi kar deti hai aur fir thoda bahut toh loklaaj aur lok dikhave ke liye bhi karna padta hai.
Mrs. Rao ne bhi kaafi kuch jod rakha tha. Bas zaroorat thi usko ek naya roop dene ki. Jaise-jaise din nazdeek aane lage Madhavi ka chehra murjhane laga. Woh jab bhi akeli hoti rone lagti. Har samay khilkhilane wali Madhavi gumsum rahne lagi. Ab woh mujh se nazrein churaane lagi. Idhar main bhi chid-chida ho gaya. Ghar mein toh normal rahne ki koshish karta, jhoothi hansi hansta, par office mein baat-baat par jhagad padta. Har baat par gussa ho jata. Dheere-dheere mujhe iss baat ka ehsaas ho gaya ki main Madhavi se pyar karta hoon.
Aur isiliye main uske rishte ki baat ko sah nahi pa raha hoon. Usko kho dene ke dar se dukhi rahta hoon. Par main majboor hoon kuch kar nahi sakta. Mrs. Rao ek heart patient hain agar unhe iss baat ka pata chala toh woh iss baat par kaise react karengi. Mere baare mein kya sochengi. Kahin woh iss baat ko jhel nahi paai aur unhe phir se attact aa gaya toh. Fir main unki caste ka bhi toh nahi hoon.
Mujhe kahin na kahin iss baat ka viswas tha ki Madhavi bhi mujhe chahti hai. Par woh mera faisla sun na chahti hai. Woh ek ladki hai, woh apne dil ki baat zubaan par nahi la sakti. Fir maine aaj tak use kuch kaha bhi nahi hai ki main uske baare mein kuch feel karta bhi hoon ya nahi. Shaadi ke din nazdeek dekh kar Vanshi bhi kuch din pahle ghar aa gaya. Vanshi ab kaafi bada ho chuka tha aur sab kuch samajhne laga tha. Usse ghar ka mahaul kuch badla-badla sa laga.
Main aur Madavi sabke saamne toh khush rahne ka dhong karte par akele mein dhukhi ho jaate. Vanshi ne iss baat ko bhaanp liya. Mrs. Rao bhi ghar ke iss badle hue mahaul ko notice kar rahi thi. Fir ek maa se apne bachchon ka dukh nahi chupta, woh sabkuch samajh leti hai. Ek din usne shaam ko sabko bulaaya. Maine aaj Madhavi ke rishte ke liye mana kar diya. Main aur Madhavi Mrs. Rao ko hairaani se dekhne lage. Woh boli maine uske liye ek doosra ladka dekh liya hai, pahle waale se bhi achcha. Madhavi fir se pareshaan ho gayi aur main dukhi.
Itne main Mrs. Rao ne Vanshi ko kaha, “Vanshi nikalo toh” aur vanshi ne apni jeb se ek anguthi nikali aur mere ore badhaate hue bola, “pahnao jijaji didi ko anguthi.” Vanshi ke in shabdon ko sunkar mere hosh udd gaye. Vanshi ne mujhe chutki kaati aur bola, “kya hua, ladki pasand nahi hai kya?” Maine kaha, “nahi nahi, aisi baat nahi hai” aur jaldi se Vanshi ke haath se anguthi lee aur Madhavi ko pahna dee. Sab hamein dekh kar hansne lagey. Maine aur Madhavi ne maa ke paair chu kar aashirwad liya. Main aur Madhavi dono ek doosre ko dekh rahe they, hum dono ki aankhon mein aanshu they. Hum dono ko akela chodkar sab kamre se baahar nikal gaye.

Heart Touching Sad Hindi love story: aslatest

Heart Touching Sad Hindi love story: aslatest
Ek ladka aur ek ladki ek dusre se bahut jyada pyar karte the. Valentine day ke din donon ek party mein gaye. Vahan unhone khub dance kiya aur enjoy kiya. Party ke bad jab ghar jane ka time aaya to ladke ne ladki ko propose kiya. Ladki bahut pyaar karti thi so usne yes kah di. Sare friends ne khushi se tali bajayi.

Is tarah un donon ki kais al ki dosti ab pyaar ki shaql le chuki thi. Lekin vaqt ko shayad un donon ki khushi manjoor nahin thi. Jab vo donon vapas ghar laut rahe to ladka bike 100 kilometer ki speed se chala raha tha. Uski speed dekh kar ladki ghabra gai aur use speed kam karne ke liye kahne lagi. Lekin ladke ne speed kam nahin ki. Rat ke traffic mein uski bike farrate se chali ja rahi thi.

Heart Touching Sad Hindi Love Story Speed

Girl – main kahti hoon, bike ki speed kam karo. Mujhe dar lag raha hai. Itni tej kyun chala rahe ho?

Boy – No No, mujhe to maja aa raha hai.

Girl – tumhe maja aa raha hai, meri jaan nikli ja rahi hai.

Boy – to fir kaho ki tum mujhse pyaar karti ho.



Girl – abhi to kaha tha sabke samne.

Boy – fir kaho, mujhe tumhare munh se I Love You sunna bahut achchha lagta hai. Kaho na!

Girl – I Love You, ab to speed kam kar do na.

Boy – Give me a hug.

Girl ne use jor se hug kiya. Ladke ne kaha ki kyat um mera helmet pahan logi, mujhe rat mein iske sheeshe mein theek se nahin dikh raha. Ladki ne uska helmet pahan liya. ………….. ………….. …………..

Agale din akhbaar mein khabar chhapi ki speed se jati bike ke accident se ek ladke ki death ho gai par peechhe baithi ladki bach gai kyunki usne helmet pahana hua tha.

Sad Hindi love story: Speed
Friends, Sach ye hai ki bike ke brek fail ho gaye the aur ladke ko pata tha ki ab bike nahin ruk sakti. So usne apne pyaar ki jaan bachai apni jan deke. This is called true love friends ! pyar mein sirf kasmein khana hi kafi nahi balki jaroorat pade to apni jan dene ka nam sachcha pyaar hai.

Sunday, 4 September 2016

love story in hindi 2016

It was 2013 , me ja raha tha delhi study k liye , me kbhi ladkion ko dekhta nhi tha matlab mujhse dekha ni jata tha unki taraf nazar uthte hi gir jati thi himmat ni hoti thi dekhne ki boht shy guy , sharmila tha me , me train se delhi ja rha tha meri adat thi ziada tym gate p bethne ki aur bahar ka nazara dekhne ki mujhe acha lagta h khet ,field ,pahaad etc i mean natural beauty dekhne me ,me gate p beth k dekh rha tha aur han me sigarate pita tha to me thoda thoda tym p sigrate nikal k pita tha, about 3,4 ghante k bad mene piche dkha 4,5 ladkiya bethi thi mene dhyan ni dia pahle fir dkha ek ladki boht chanchal c shararti c thi wo uchal ri thi kuud ri thi mtlb kch na kch kr ri thi ,mene dkha fr socha na jane kon h itni sharart kr ri fir thode tym bad me use dekha aur me bar br dkhne laga mjhe achi lagne lgi uski sharart chanchalta,mene socha na jane kon h dil bhar k dkh hi lete hn pata nahi kon h milegi fir kbhi ya ni ,mene use boht ji bhar k dekha usne mjhe ni dkha uska dhyan
hi idhr ni aya fir rat me seat p main chla gya fir mene dkha wo log aligarh me utar gyeen ,me delhi gya boht khyal aa rha tha us ladki ka ,meri adat thi almost every saturday ko me aligarh jata tha dost k pas , to me karib 1 mahine bad me gya aligarh apne dost k pas tha aur me gaya to me 5,6 din raha us waqt , dusre din dost bola chalo kuch saman dena h cousin ko me uske sath gya amu girl hostel ,hostel k pas me ek general store p me khada ho gya aur me bola de k aao me yahin hu wo gate p gya me sigrate jala k pi rha tha uski cousin ayi fir mene dhyan s dekha to me shock ho gaya uske sath ek aur ladki ayi aur whi jo train me thi ,me bechain sa ho gya dekh k kuch smjh ni aa raha tha fr dost saman de k aya to me pucha wo kon h to bola friend h cousin ki theek s ni btaya fr mene ek din bat bat me dost s pucha us ldki ka kya name h jo tmhre cousin k sath ayi thi to bola uska name aysha h me bola mjhe boht pyari lagti h to bola ni kregi bat wo fir me ek din apne friend s boht
bat kr k request kr k uska number liya ,numbr le k me rkha tha lagbhag 2 mahine tk himmat ni ho ri thi col ya massage krne ki , 4 octor 2013 ko mene ankh bnd kr k hmmt kr k mene whatsapp p msg kia hiii usne reply dye bina block kr diya , mera dil rone laga boht tention ho gyi k ab kya hoga ,fir 1 hafte k bad achank s massage aya k kon ?? Mene reply dia salman usne pucha kn salman i dnt know any salman ,fr aise hi mene bat ki thodi bat ko kheecha fr bat krte krte hm friend ho gye me sochta rha k kahi i love u bolu to reject na kr d dosti s b hath dho bethunga 3,4 mhina chla ek din rat ka 3 bj rha tha hm bat kr rhe the whatsap p mene boht hmmt kr k kaha mjhe tmse kuch kahna h usne kaha han kaho ,mene kaha i love u jb mene bola to mere jism me ek kapkapi aur dar phail gya k kya hoga ajib c feeling aa ri thi  usne 4 bje reply diya me b pasand krti hu but mere behen boht maregi mujhe agar jaan gyi to mene kaha tmko jisme khushi mile tm kaho to tmhri khushi k lye tmse dur chla jaunga
hmesha k lye usne socha boht der tk fir boli me tmhre bina ni rah sakti bhaaad me gyi behen jo hoga dkha jayga usne jb bola i love u too to aisa feel hua mjhe jaise itni pyari awaz aur pyara word kbhi mere kaano me ni pdaa ,uske bad se aajtk hm dono sath hain hm ladai krte hn fir ek dusre ko mana lete hain aaj hm dono boht khush hain , wo hmesha plan krti h shadi k bad aise rhenge bchcho k name btati h shadi k bad ki khubsurat dunia dikhati h aur us khubsurat dunia me hamara pyar hmesha salamat rhega hm dono hmesha ek du$re ko aise hi pyar krenge , me uske lye kuch b kar sakta hun wo b mujhse boht pyar krti h boht pyaar , i love you so much aysha ,i will love you in every moment of life …

Monday, 25 July 2016

Love letter in Hindi for girlfriend

Love letter in Hindi for girlfriend

मेरी जान, मेरी ज़िन्दगी, मेरी हर उम्मीद, मेरा हर सपना तुम हो, और आज मुझे तुम से अपने मन की बात कहनी है…
लाइफ में कभी कभी ऐसा भी होता है कि  हर सपना जो हम देखते हैं, हर ख्वाहिश जो हम करतें है वो पूरी नहीं हो पाती ..
मगर ख्वाब ना पूरा होने के डर से हम ख्वाब देखना तो नहीं छोड़ सकते ना..??
ख्वाब और ख्वाहिश इंसान के जीने वजह हैं .. जिनके सहारे इंसान जिंदा रहते है..
अगर किसी की ज़िन्दगी में कोई ख्वाब और किसी को पाने की ख्वाहिश ना हो तो फिर ऐसी ज़िन्दगी ही क्या है भला ..
ख्वाब पूरा ना हो वो तो भाग्य की बात है। … कुछ हद तक हमारी कोशिश की कमी की। … लेकिन किसी को पाने की ख्वाहिश का ना पूरा हो पाना तो हमारे प्यार की ताकत में कमी होने से ही होता है…
अपने प्यार और अपने मिलन का  जो ख्वाब हमने देखा है वो जरूर पूरा होगा . हमें कोई नहीं रोक सकता
मुझे ये तो नहीं पता कि हमारे मिलन का ये ख्वाब कब पूरा होगा, कब हमारी ये चाहत परवान चढेगी। । लेकिन ऐसा होगा जरुर.
क्यूंकि मैंने सुना है कि  अगर प्यार सच्चा हो तो सारी कायनात हमें हमारे प्यार से मिलवाने में हमारा साथ देती है।
अगर प्यार सच्चा हो तो सारी दुनिया को प्यार के सामने सर झुकाना पड़ता है… लेकिन मैं ये नहीं चाहता (चाहती) की हमारी वजह से हमारे माँ-बाप का सर ज़माने के आगे झुक जाये.
इसलिए इंतज़ार करो, मेरे प्यार पे भरोसा रखो… एक दिन आएगा जब सब लोग हमारे दिल की बात समझेंगे और और प्यार को मंज़िल मिलेगी। ।
आई लव यू
hai na pyara sa Love letter in Hindi

Love letter in Hindi for boyfriend

If you are writing the Love Letter to your boyfriend, then include this beautiful shayari in your Love letter in Hindi :
इश्क़ की हद से गुजर भी जाऊंगी
आग के दरया से गुजर भी जाऊंगी
आँख में बस एक तेरी ही सूरत होगी
तेरे प्यार में अगर मैं मर भी जाऊंगी
Ishq ki had se gujar bhee jaaoongi
tere liye aag ke daryaa se Gujar bhee jaaoongi
aankh mein bas ek teri hi surat hogi
mere pyaare agar main mar bhee jaaoongi
kaisa rahega ye sher Love letter in Hindi mein !

How to write Love letter in Hindi

Do not go by any rules. just pour the emotions of your heart. No one can guide you in matters of heart. After all, who knows how much you love your sweet heart. there are no experts in the matter of love if it is your Girlfreind or boyfriend whom you want to send a Love letter 🙂

Love letter Hindi

जबसे देखा है नज़रों ने आपको,
इनको और कुछ भी नज़र नही आता,
ना जाने कैसा किया है जादू आपने,
कोई और चेहरा इनको नही भाता….
Jabse Dekha Hai Nazron Ne Aapko,
Inko Aur Kuchh Bhi Nazar Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Kiya Hai Jaadu Aapne,
Koi Aur Chehra Isko Nahi Bhata….

Love letter to girlfriend in Hindi

प्यार की राह में जब तक ठोकर न मिले तो प्यार का मजा ही नहीं आता तो आप भी निराश न हों और अपने दिल की बात अपनी सपनों की रानी से कह ही डालिए. मौका भी है, मंजर भी है तो देर किस बात की रख डालिए अपने दिल की बात अपनी चाहत के सामने.

Hindi Love letter

कैसी हो, एक बात कहूँ यार मैं जब भी तुम्हे देखता हू तो मुझे ना जाने क्या हो जाता हे पता नहीं कुछ समझ नहीं आता मन भी कहीं नहीं लगता। दिन भर तुम्हारे ही बारे सोचता हू अपना काम भी ठीक से नहीं कर पाटा हूँ . मैं जब तुम्हें पहली बार देखा था शायद तभी से तुम्हे लाइक करने लगा हू बस कह नहीं पाया। इतनी समझ नहीं हैं ना। एक रियल बात बताऊँ , कुछ दिनों से तो मे पागल हो गया हू जहा देखूं बस तुम नज़र आती हो आप का ख़याल मेरे दिल से जा ही नहीं पता मैं तुझको भुला न्ही सकता,मेरा तसव्वुर मेरी दीवानगी तुम ही तो हो काश तुम को ये खबर होती ये ज़िंदगी तुम बिन हर लम्हा मुझे तड़पाती हैं मैं क्या करू ज़िंदगी से भाग कर आप का पता भी तो न्ही मुझे पता कि तुम अब बहुत बड़ी प्राब्लम मे हो पर मैं तुम बिन पल पल मर रहा हू अब तुम ही बताओ मे क्या करूँ मैं मर भी तो न्ही सकता क्यो की मुझे आप के साथ जीना हैं। मैं आपका वेट तब तक अकरूंगा जब तक तुम हाँ नहीं बोल देती। चाहे अगले जनम मे मिलो, अब मैं तुम्हारे सिवा किसी ओर से शादी करने की सोच भी न्ही सकता दुनिया के किसी कोने मे एक इंसान बहुत खुश है क्यो की आप खुश हो मुझ मे आपका सामना करने की हिमत न्ही हैं न्ही तो खुद बोल देता आप को आई लव यू अब जब आप के हाथ मे इस ग़रीब का नसीब है, आप की आखो ने, आप की हसी ने जब मेरा सब कुछ लूट लिया मेरा। अब तुम हाँ करो या न करो मेरे दिल में बस तुम्ही रहोगी मरते दम तक……….

Love letter to husband in Hindi

Tum aaye ho meri zindagi mein khusboo bankar
Yunhi mehekte rehna meri saason mein zindagi banker

Hindi Love letter to girlfriend

Har phool apko armaan de,
har subah aapko salam de,
hum dua karte hain,
aapka ek aansu bhi agar nikle,
to khuda aapko us se dugani muskaan de..

Best Love letter in Hindi

लव लेटर में आपकी भावनाओं की खुशबू होती है जिसे कोई एसएमएस, कोई ईमेल, कोई तरीका मात नहीं दे सकता. इसलिए बेशक यह तरीका थोड़ा पुराना हो लेकिन इस्तेमाल करके देखिए इजहार के बाद इंकार की गुंजाइश कम ही रहेगी.

Hindi Love letter collection

Udaas Nazron Mein Khwaab Milenge,
Kahin Kaante To Kahin Gulaab Milenge….
Meri Dil Ki Kitab Ko Apni Nazar Se Padh Kar To Dekho,
Kahin Aap Ki Yaad To Kahin Aap Milenge…!!

Love letter for her in Hindi

Nafarat bhi hai Tunmse, Mohabbat bhi Hai tumse
Par Meri Mohabbat Nafrat Pe Haavi Ho jati hai !!
Tumse door Jaane ki Meri Har Mukammal Koshish
Mujhe Jaane Kyun Tere Aur Kareeb Le aati hai !!

Love letter for girlfriend in Hindi

Kyun kisi se itna pyar ho jata hai,
ek din jeena bhi dushwaar ho jata hai.
Lagne lagte hain apne bhi paraye,
aur ek ajnabi par itna aitbaar ho jata hai…

Love letter for him in Hindi

Uske Sath Rehte Rehte
Uski Chahat Si Ho Gayi Hai
Usse Baat Karte Karte
Mujhe Uski Aadat Si Ho Gayi Hai
Ek Pal Na Mile Toh Bechani Si Lagti Hai
Dosti Nibhate Nibhate
Usse Mohabbat Si Ho Gayi Hai…!!

Love letter for boyfriend in Hindi

Dil Mein Jo Aaya Woh Khat mein Likh Diya
Kabhi Milan Kabhi Judai kismat mein Likh Diya
Dard-E-Muhhabat Ke Siva maine likha bhi To likha kya
Jaana Tere Naam Pe ye Ghazal maine Ulfat mein Likh Diya

Sunday, 24 July 2016

एक सच्चे प्यार की कहानी 💗💓💜💚💔💓

एक सच्चे प्यार की कहानी
💗💓💜💚💔💓
एक सच्चे प्यार की कहानी (अच्छी लगी दोस्तों तो शेयर जरूर करें।)
एक लड़का एक लड़की को बहुत प्यार करता था,
लड़के ने लड़की को प्रपोज़ किया..
लड़की :-जितना तेरे एक महीने का खर्चा है, उतना मेरा रोज का खर्चा है,
इसलिए में तुमसे महोबत नहीं कर सकती.....
फिर भी वो लड़का उसी लड़की को चाहता है...
पंद्रह साल बाद वो दोनों किसी माल में मिलते है, बातो ही बातो में लड़की ने कहा मेरा पति आज एक बहुत बड़ी कंपनी में नौकरी करता है उसकी सेलरी एक लाख रुपये प्रति महिना है वो बहुत होस्यार है, अब तुम ही बतावो मैंने उस दिन तुम से शादी न कर के कोई गलती तो नहीं की ना...
DIL Řőťǎ Ĥǎį Ǎǟj Bȟɨ Ü$ķě Ĺĩŷȅ
लड़के की आँख में आसू आ गये, और दोनों फिर अपने काम के लिए जाने लगे..
थोड़ी देर में लड़की का पति उसे लेने आया और उसकी नजर उस लड़के पर पड़ी और कहा सर आप यहा ?, बाद में अपनी पत्नी से मिलते हुए कहा की :- ये मेरी कंपनी के मालिक है और एक साल का 500 करोड़ का टर्नओवर है, और कहा के सर एक लड़की को चाहते है इसलिए आज तक सर ने शादी नही की... ये है प्यार...! जिन्दगी बस एक पल की मोहताज़ नहीं होती, बस वक़्त उसे मोहताज बना देता है....
♥♥♥♥ ‪#‎Moral‬ प्यार को समझे और उसे महत्व दे,,, उसे तोले नहीं... क्योकि प्यार अनमोल है... ♥♥♥♥

Friday, 17 June 2016

love latter for shamin imtiyaz by sonu madhepura

.shamin imtiyaz
 Love to receive poems and writings of those who they consider to be her Prince Charming or the love that has come to their lives. Impress her with a nice love letter. Do you feel that she is your soul mate? Well do not let go of her. Here we present you a set of beautiful words you can dedicate her.

Love of my life, and only for you ……
I would like to tell you everything I feel for you, but sometimes it is hard for me to communicate what I might think through my actions. I am not good with words, so I preferred to write to you, because I think I’ll also more honest with you.
From the day I saw you, I could not stop thinking about you. I dreamed of you the very same night I met you, I was walking to you and could recognize you, I knew we had already found each other in our past lives, for you are my true soul mate. I feel that you and I were born to be together and nobody could ever split us apart. You are the only  who has filled my being.      

My darling, I just wanted to thank you for always being by my side, for letting follow your path and for sharing everything about you with me. You’re the one that has changed my way of thinking, of seeing life, and even of being.
Expressing my feelings is difficult for me, but I had to tell you how much I love you, you are the only star in the sky for me, the only one I see through my window. Amid the vast darkness, I can clearly see that you are the one who lightens my way. Please never leave me, without you I would not know how to live. You’re the one for me.      
So plz  I  request  you don’t leaf me you know very well without you I cant alive okk na   so dear   shamin imtiyaz  what do you want  dear  ……………………………………..
So plz always be happy my cute baby uuuuhhhhhaaaaaa

                    

Wednesday, 23 March 2016

सच्ची प्रेम कहानी, Love Jokes in Hindi

जिंदगी बदलना चाहते हैं तो ये कहानियां जरूर पढ़े ==> www.aslamsonuasgroup.blogspot.com


सच्ची प्रेम कहानी, Love Jokes in Hindi



एक स्कूल का लड़का एक कॉलेज की लड़की
से बहुत प्यार करता था ,
रोज आते जाते खिड़की से देखा करता ,
एक दिन गली में घूमते हुए लड़की ने लड़के को आवाज़ लगाई ,
और लड़के के दिल में बिजलियाँ कड़क उठीं ,,
लड़की प्यार से लड़के के पास गयी और बोली –
2 साल छोटे हो मुझे दीदी बोला करो ,,
साला सारे रोमांस की वाट लग गयी